Dilwaalon Ki Dilli-Part II


Three years ago the naive over-emotional me blabbered this piece. Today while travelling from Noida to Gurgaon, I scribbled this...


Kuch toh baat hai hi iss Dilli mein, maana kitna bhi thaka ho, dil toh isska dhaddakta hi hai...
 

Kahaaniyon ke liyye aankhen khojne pe aaj bhi mujhey sannaatte hi milte hain, par shayad sannaaton ki aahaton ko padhna seekh liya hai maine...
 

Bohot hadd takk sab ek jaise hi hain, par himmat lagti hai aise bhi banne mein yeh jaan liya...
 

Metro mein kuch logg seat abhi bhi nahin dette, par 60 saal ki aunty ko garv se khadde hokar jaate dekh liya...
 

Logg toh abhi bhi matlabi hain hi, bass maine bhi unki chalaakiyaan pakadna seekh liya...
 

15 year old girls ke paas ambitions se zaada sarojini ke kappde aur make up ka samaan hi hai, par vo smart hain aur kaam chal hi jaata hai...
 

Kitne anginat logg har saal aake khud ko isspe jama dette hain, yeh dilli kabhi na nahin karti, sabko khud mein samaati hi jaati hai...
 

Dil toh iss dilli ka bhi dhadakta hi hai, maine bhi isski dhaddkan ke saath dhadakna seekh liya hai...

Comments

Post a Comment

Popular Posts